josh-e-niyaz mein to koi kami nahin hai
josh-e-niyāz meñ to koī kamī nahīñ hai
sajdoñ meñ naam ko bhī shā.istagī nahīñ hai
zāhid haram meñ juuyā mai-ḳhvār mai-kade meñ
kis ko tirī talab se vābastagī nahīñ hai
jis bandagī kā dāman ālūda-e-ġharaz ho
tauhīn-e-bandagī hai vo bandagī nahīñ hai
shā.istagān-e-ġham kī hai dāstāñ bas itnī
un kī ḳhushī meñ shāmil koī ḳhushī nahīñ hai
zulmat-sarā-e-ġham hai har jalva-gāh-e-ulfat
shāyad charāġh-e-dil meñ ab raushnī nahīñ hai
anjān hai to kyā hai pahchāntā hai tujh ko
siine meñ ajnabī ke dil ajnabī nahīñ hai
jis ke liye 'rishī' ham sab kuchh luTā chuke haiñ
ab vo nazar bhī ham ko pahchāntī nahīñ hai
josh-e-niyaz mein to koi kami nahin hai
sajdon mein nam ko bhi shaistagi nahin hai
zahid haram mein juya mai-KHwar mai-kade mein
kis ko teri talab se wabastagi nahin hai
jis bandagi ka daman aaluda-e-gharaz ho
tauhin-e-bandagi hai wo bandagi nahin hai
shaistagan-e-gham ki hai dastan bas itni
un ki KHushi mein shamil koi KHushi nahin hai
zulmat-sara-e-gham hai har jalwa-gah-e-ulfat
shayad charagh-e-dil mein ab raushni nahin hai
anjaan hai to kya hai pahchanta hai tujh ko
sine mein ajnabi ke dil ajnabi nahin hai
jis ke liye 'rishi' hum sab kuchh luTa chuke hain
ab wo nazar bhi hum ko pahchanti nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.