josh-e-wahshat mein gareban pe nazar hai shayad
josh-e-vahshat meñ garebāñ pe nazar hai shāyad
yahī dīvāne kā sāmān-e-safar hai shāyad
maiñ to sirf aap kī badnāmī kā kartā huuñ ḳhayāl
aap ko bhī mirī rusvā.ī kā Dar hai shāyad
un ke dāman pe jo Tapkā thā ḳhushī kā aañsū
maiñ to samjhā thā daraḳhshanda guhar hai shāyad
rauñdā jaatā hai jo pairoñ se abas maqtal meñ
ye kisī āshiq-e-nākām kā sar hai shāyad
be-piye hosh-farāmosh haiñ saare mai-kash
un kī maḳhmūr nigāhoñ kā asar hai shāyad
zulf-o-ruḳh dekh ke 'ahmad' ye gumāñ hotā hai
shaam kī god meñ betāb sahar hai shāyad
josh-e-wahshat mein gareban pe nazar hai shayad
yahi diwane ka saman-e-safar hai shayad
main to sirf aap ki badnami ka karta hun KHayal
aap ko bhi meri ruswai ka Dar hai shayad
un ke daman pe jo Tapka tha KHushi ka aansu
main to samjha tha daraKHshanda guhar hai shayad
raunda jata hai jo pairon se abas maqtal mein
ye kisi aashiq-e-nakaam ka sar hai shayad
be-piye hosh-faramosh hain sare mai-kash
un ki maKHmur nigahon ka asar hai shayad
zulf-o-ruKH dekh ke 'ahmad' ye guman hota hai
sham ki god mein betab sahar hai shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.