josh hai aur na wo kahani hai
josh hai aur na vo kahānī hai
kitnī māyūs-kun javānī hai
ek qaul-o-qarār hai ḳhud se
zindagī varna be-ma'ānī hai
ham buzurgoñ se sunte aa.e haiñ
maut ke baa'd zindagānī hai
sirf zāhir nahīñ hukūmat kā
us kā bātin bhī zā'frānī hai
ḳhush-kalāmī kā daur jaatā rahā
bad-zabānī hī bad-zabānī hai
qalb pe haath rakh ke kahiye zarā
kyā yahāñ koī ḳhāndānī hai
josh hai aur na wo kahani hai
kitni mayus-kun jawani hai
ek qaul-o-qarar hai KHud se
zindagi warna be-ma'ani hai
hum buzurgon se sunte aae hain
maut ke ba'd zindagani hai
sirf zahir nahin hukumat ka
us ka baatin bhi za'frani hai
KHush-kalami ka daur jata raha
bad-zabani hi bad-zabani hai
qalb pe hath rakh ke kahiye zara
kya yahan koi KHandani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.