juD jate toDe jate agar darmiyan se hum
juḌ jaate toḌe jaate agar darmiyāñ se ham
toḌe magar ga.e haiñ yahāñ se vahāñ se ham
duniyā pe ab yaqīn bhalā aa.e kis tarah
rahte haiñ apne aap se kuchh bad-gumāñ se ham
ham ko ḳhabar nahīñ hai ki jā.eñge ham kahāñ
ye bhī patā nahīñ hai ki aa.e kahāñ se ham
us kī dalīl ne kiyā is baar lā-javāb
har baar jiit jaate the zor-e-bayāñ se ham
pahuñche nahīñ zamīñ pe mu'allaq hī rah ga.e
kuchh is tarah se pheñke ga.e āsmāñ se ham
ab ke vahāñ lagī haiñ guloñ kī numā.isheñ
kāñTe baTor laa.e the jis gulsitāñ se ham
ham tez chal rahe the bahut is liye 'kamāl'
is jurm par nikāle ga.e kārvāñ se ham
juD jate toDe jate agar darmiyan se hum
toDe magar gae hain yahan se wahan se hum
duniya pe ab yaqin bhala aae kis tarah
rahte hain apne aap se kuchh bad-guman se hum
hum ko KHabar nahin hai ki jaenge hum kahan
ye bhi pata nahin hai ki aae kahan se hum
us ki dalil ne kiya is bar la-jawab
har bar jit jate the zor-e-bayan se hum
pahunche nahin zamin pe mu'allaq hi rah gae
kuchh is tarah se phenke gae aasman se hum
ab ke wahan lagi hain gulon ki numaishen
kanTe baTor lae the jis gulsitan se hum
hum tez chal rahe the bahut is liye 'kamal'
is jurm par nikale gae karwan se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.