juda jab tak teri zulfon se pech-o-KHam nahin honge
judā jab tak tirī zulfoñ se pech-o-ḳham nahīñ hoñge
sitam duniyā meñ baḌhte hī raheñge kam nahīñ hoñge
Dil-e-pur-ġham na hoñge dīda-e-pur-nam nahīñ hoñge
añdherā hogā us mahfil meñ jis meñ ham nahīñ hoñge
dilāse un ke jo dard-āshnā-e-ġham nahīñ hoñge
namak hī hoñge dil ke zaḳhm par marham nahīñ hoñge
agar baḌhtā rahā yūñhī ye saudā-e-sitamgārī
tumhī rusvā sar-e-bāzār hoge ham nahīñ hoñge
janāb-e-shaiḳh par afsos hai ham ne to samjhā thā
haram ke rahne vaale aise nā-mahram nahīñ hoñge
idhar aao tumhārī zulf ham ārāsta kar deñ
jo gesū ham sañvāreñge kabhī barham nahīñ hoñge
agarche 'ishq meñ marne kā ḳhatra hī ziyāda hai
magar marne ke Dar se marne vaale kam nahīñ hoñge
juda jab tak teri zulfon se pech-o-KHam nahin honge
sitam duniya mein baDhte hi rahenge kam nahin honge
Dil-e-pur-gham na honge dida-e-pur-nam nahin honge
andhera hoga us mahfil mein jis mein hum nahin honge
dilase un ke jo dard-ashna-e-gham nahin honge
namak hi honge dil ke zaKHm par marham nahin honge
agar baDhta raha yunhi ye sauda-e-sitamgari
tumhi ruswa sar-e-bazar hoge hum nahin honge
janab-e-shaiKH par afsos hai hum ne to samjha tha
haram ke rahne wale aise na-mahram nahin honge
idhar aao tumhaari zulf hum aarasta kar den
jo gesu hum sanwarenge kabhi barham nahin honge
agarche 'ishq mein marne ka KHatra hi ziyaada hai
magar marne ke Dar se marne wale kam nahin honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.