Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

juda KHud se hota hua samne

Naseem Ajmal

juda KHud se hota hua samne

Naseem Ajmal

MORE BYNaseem Ajmal

    judā ḳhud se hotā huā sāmne

    vo manzar ki jaise ḳhudā sāmne

    mahaktā huā phuul imkān

    samundar lahaktā huā sāmne

    nazar se guzartā huā sāneha

    ki manzar bichhaḌtā huā sāmne

    añdherā nazar meñ chamaktā huā

    ubhartā huā sar mirā sāmne

    nikālo mirī jaan sūraj koī

    vo dekho hai kaalī ghaTā sāmne

    na hai dhuup koī paroñ ke pare

    na ḳhanjar chamaktā huā sāmne

    ḳhudā jaane kyā us ke andar huā

    ki 'ajmal' hai chup-chup khaḌā sāmne

    juda KHud se hota hua samne

    wo manzar ki jaise KHuda samne

    mahakta hua phul imkan ka

    samundar lahakta hua samne

    nazar se guzarta hua saneha

    ki manzar bichhaDta hua samne

    andhera nazar mein chamakta hua

    ubharta hua sar mera samne

    nikalo meri jaan suraj koi

    wo dekho hai kali ghaTa samne

    na hai dhup koi paron ke pare

    na KHanjar chamakta hua samne

    KHuda jaane kya us ke andar hua

    ki 'ajmal' hai chup-chup khaDa samne

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now