juda us jism se ho kar kahin tahlil ho jata
judā us jism se ho kar kahīñ tahlīl ho jaatā
fanā hote hī lāfānī meñ maiñ tabdīl ho jaatā
mire pīchhe agar iblīs ko aane na detā tū
sarāpā meñ tire har hukm kī ta.amīl ho jaatā
jo hotā iḳhtiyār apne muqaddar ko badalne kā
tamannāoñ kī maiñ ik sūrat-e-takmīl ho jaatā
mujhe pahchān kar koī zamāne ko batā detā
to misl-e-nik.hat-e-gulzār maiñ tarsīl ho jaatā
karishma ye bhī ho jaatā tire adnā ta.āvun se
mujhe tū sochtā to maiñ tirī taḳh.īl ho jaatā
zamīñ pyāsī 'zamīr' insān bhī pyāse nahīñ rahte
agar dariyā maiñ ban jaatā agar maiñ jhiil ho jaatā
juda us jism se ho kar kahin tahlil ho jata
fana hote hi lafani mein main tabdil ho jata
mere pichhe agar iblis ko aane na deta tu
sarapa mein tere har hukm ki tamil ho jata
jo hota iKHtiyar apne muqaddar ko badalne ka
tamannaon ki main ek surat-e-takmil ho jata
mujhe pahchan kar koi zamane ko bata deta
to misl-e-nikhat-e-gulzar main tarsil ho jata
karishma ye bhi ho jata tere adna taawun se
mujhe tu sochta to main teri taKHil ho jata
zamin pyasi 'zamir' insan bhi pyase nahin rahte
agar dariya main ban jata agar main jhil ho jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.