judai ke alam sahna mujhe achchha nahin lagta

Mohammad Naim Jawed Naim
MORE BYMohammad Naim Jawed Naim
judā.ī ke alam sahnā mujhe achchhā nahīñ lagtā
kisī ko alvidā.a kahnā mujhe achchhā nahīñ lagtā
mohabbat ke marāhil hoñ yā maidān-e-adāvat ho
kabhī jazbāt meñ bahnā mujhe achchhā nahīñ lagtā
vo itnā ḳhūbsūrat hai ki us ke jism par saj kar
koī zevar koī gahnā mujhe achchhā nahīñ lagtā
suno manzūr haiñ ab to mujhe nā-haq sazā.eñ bhī
sadā mulzim bane rahnā mujhe achchhā nahīñ lagtā
rifāqat ke ma.ānī jis ne samjhā.e mujhe barsoñ
ab us ko bevafā kahnā mujhe achchhā nahīñ lagtā
mirā to silsila hai ḳhirqa-poshoñ ke qabīle se
mujhe mat ḳhil.ateñ pahnā mujhe achchhā nahīñ lagtā
kināroñ kī alag hī baat hotī hai 'na.īm' apnī
jazīroñ par sadā rahnā mujhe achchhā nahīñ lagtā

kisi ko alwidaa kahna mujhe achchha nahin lagta
mohabbat ke marahil hon ya maidan-e-adawat ho
kabhi jazbaat mein bahna mujhe achchha nahin lagta
wo itna KHubsurat hai ki us ke jism par saj kar
koi zewar koi gahna mujhe achchha nahin lagta
suno manzur hain ab to mujhe na-haq sazaen bhi
sada mulzim bane rahna mujhe achchha nahin lagta
rifaqat ke maani jis ne samjhae mujhe barson
ab us ko bewafa kahna mujhe achchha nahin lagta
mera to silsila hai KHirqa-poshon ke qabile se
mujhe mat KHilaten pahna mujhe achchha nahin lagta
kinaron ki alag hi baat hoti hai 'naim' apni
jaziron par sada rahna mujhe achchha nahin lagta

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.