judai tum se gawara nahin karenge hum
judā.ī tum se gavārā nahīñ kareñge ham
mohabbatoñ se kinārā nahīñ kareñge ham
nasha kareñge tirī āñkhoñ se machalne tak
sharāb se hī guzārā nahīñ kareñge ham
ye kaise maan liyā tum ne duur rah kar bhī
ki intizār tumhārā nahīñ kareñge ham
tumhārī yaad dilātā hai aa.ina mujh ko
is aa.ine ko nihārā nahīñ kareñge ham
bhaTak na jaa.e chakā-chauñdh meñ kahīñ 'sāgar'
faqat yuuñ ḳhud ko sitārā nahīñ kareñge ham
judai tum se gawara nahin karenge hum
mohabbaton se kinara nahin karenge hum
nasha karenge teri aankhon se machalne tak
sharab se hi guzara nahin karenge hum
ye kaise man liya tum ne dur rah kar bhi
ki intizar tumhaara nahin karenge hum
tumhaari yaad dilata hai aaina mujh ko
is aaine ko nihaara nahin karenge hum
bhaTak na jae chaka-chaundh mein kahin 'sagar'
faqat yun KHud ko sitara nahin karenge hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.