juDaw itna bhi aasan nahin wafaon se
juḌā.v itnā bhī āsāñ nahīñ vafāoñ se
ulajhnā paḌtā hai duniyā ke devtāoñ se
kuchh is tarah bhī lipaTte haiñ dard-o-ġham mujh se
ki jaise bachche lipaTte haiñ apnī maaoñ se
firāq-e-yār meñ mujh ko qazā to aanī thī
charāġh bachtā kahāñ tak bhalā havāoñ se
bachā sakī na marīz-e-vafā ko chāragarī
tabīb kahte the bach jā.egā davāoñ se
chalā gayā hai vo sahrā se apne ghar kī taraf
palaT ke aa gayā 'in’ām' bhī ḳhalāoñ se
juDaw itna bhi aasan nahin wafaon se
ulajhna paDta hai duniya ke dewtaon se
kuchh is tarah bhi lipaTte hain dard-o-gham mujh se
ki jaise bachche lipaTte hain apni maon se
firaq-e-yar mein mujh ko qaza to aani thi
charagh bachta kahan tak bhala hawaon se
bacha saki na mariz-e-wafa ko chaaragari
tabib kahte the bach jaega dawaon se
chala gaya hai wo sahra se apne ghar ki taraf
palaT ke aa gaya 'in’am' bhi KHalaon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.