jugnu teri yaadon ke uDe dil ke nagar se
jugnū tirī yādoñ ke uḌe dil ke nagar se
ab shaam se hai merā ta'alluq na sahar se
merī tarah ḳhushbū se na bichhḌe koī hamdam
merī tarah manzar ko koī aañkh na tarse
ai kaash chaman habs ke changul se nikal aa.e
kyā fā.eda us abr kā jo khul ke na barse
tahzīb kī kyā shakl nikal aa.ī ki insāñ
āzād nazar aatā hai ab aib-o-hunar se
ik ḳhauf ta.āqub meñ lagā rahtā hai har-gām
kyā bhuul huī ab ke ḳhudā jaane bashar se
rahtī huuñ maiñ tanhā.ī kī be-nām galī meñ
bāhar nahīñ jaatī kabhī insān ke Dar se
tūfān 'sadaf' raah meñ haa.il nahīñ hote
mazbūt hai rishta mirā maujoñ se bhañvar se
jugnu teri yaadon ke uDe dil ke nagar se
ab sham se hai mera ta'alluq na sahar se
meri tarah KHushbu se na bichhDe koi hamdam
meri tarah manzar ko koi aankh na tarse
ai kash chaman habs ke changul se nikal aae
kya faeda us abr ka jo khul ke na barse
tahzib ki kya shakl nikal aai ki insan
aazad nazar aata hai ab aib-o-hunar se
ek KHauf taaqub mein laga rahta hai har-gam
kya bhul hui ab ke KHuda jaane bashar se
rahti hun main tanhai ki be-nam gali mein
bahar nahin jati kabhi insan ke Dar se
tufan 'sadaf' rah mein hail nahin hote
mazbut hai rishta mera maujon se bhanwar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.