jumbish-a-abru-e-qatil kabhi aisi to na thi
jumbish-a-abrū-e-qātil kabhī aisī to na thī
bulbul-e-jāñ mirī bismil kabhī aisī to na thī
va.ada-e-vasl kiyā kis ne diyā dam kis ne
be-qarārī tujhe ai dil kabhī aisī to na thī
ai shah-e-husn raqīb aap kā qādir niklā
fauj ushshāq kī be-dil kabhī aisī to na thī
mehrbāñ aa.e kidhar aaj kidhar niklā chāñd
rashk-aflāk ye mahfil kabhī aisī to na thī
vo mah-e-nau magar aayā kisī mahtābī par
chāñdnī ai mah-e-kāmil kabhī aisī to na thī
apne kāshāne se kyuuñ ġhair ke ghar ho aa.e
māh-rū aap kī manzil kabhī aisī to na thī
kis tarah vasl huā us gul-e-zebā se 'nasīm'
ḳhush-nasībī mujhe hāsil kabhī aisī to na thī
jumbish-a-abru-e-qatil kabhi aisi to na thi
bulbul-e-jaan meri bismil kabhi aisi to na thi
wada-e-wasl kiya kis ne diya dam kis ne
be-qarari tujhe ai dil kabhi aisi to na thi
ai shah-e-husn raqib aap ka qadir nikla
fauj ushshaq ki be-dil kabhi aisi to na thi
mehrban aae kidhar aaj kidhar nikla chand
rashk-aflak ye mahfil kabhi aisi to na thi
wo mah-e-nau magar aaya kisi mahtabi par
chandni ai mah-e-kaamil kabhi aisi to na thi
apne kashane se kyun ghair ke ghar ho aae
mah-ru aap ki manzil kabhi aisi to na thi
kis tarah wasl hua us gul-e-zeba se 'nasim'
KHush-nasibi mujhe hasil kabhi aisi to na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.