jumbish-e-mehr hai har lafz teri baaton ka
jumbish-e-mehr hai har lafz tirī bātoñ kā
rañg uḌtā nahīñ āñkhoñ se mulāqātoñ kā
dekhne aa.e haiñ jañgal meñ tamāsha sab log
in añdheroñ meñ bhaTaktī huī barsātoñ kā
ek ik kar ke Tapaktī haiñ ḳhushī kī būñdeñ
kis liye phuuT ke rotā hai dhuāñ rātoñ kā
dekhiye saare charāġhoñ kī laveñ Duub ga.iiñ
vaqt ab aa hī gayā sar pe munājātoñ kā
dhuul har-vaqt uḌāte haiñ ufuq ke aage
jurm sābit hai havāoñ ke khule hāthoñ kā
jumbish-e-mehr hai har lafz teri baaton ka
rang uDta nahin aankhon se mulaqaton ka
dekhne aae hain jangal mein tamasha sab log
in andheron mein bhaTakti hui barsaton ka
ek ek kar ke Tapakti hain KHushi ki bunden
kis liye phuT ke rota hai dhuan raaton ka
dekhiye sare charaghon ki lawen Dub gain
waqt ab aa hi gaya sar pe munajaton ka
dhul har-waqt uDate hain ufuq ke aage
jurm sabit hai hawaon ke khule hathon ka
- Book : Taziyana (Pg. 182)
- Author : Javid Nasir
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.