junun ba-KHair har aafat se kaamran nikle
junūñ ba-ḳhair har aafat se kāmrāñ nikle
talāsh-e-manzil-e-jānāñ meñ ham jahāñ nikle
ham aa ga.e rasan-o-dār tak mohabbat meñ
tumhāre qaul faqat zeb-e-dāstāñ nikle
sitam-shi.āroñ ne har ik sitam ke baad kahā
hamāre dil ke abhī hausle kahāñ nikle
nikalnā un kā sajā kar vo maañg meñ afshāñ
ki jaise shab meñ sitāroñ kā kārvāñ nikle
na jaane kaun sī tāqat thī jis ne rok diyā
junūñ kī raah meñ ham jab bhī nā-gahāñ nikle
mirī tabāhī kā afsāna ban ga.e hamdam
vo bāl-o-par jo pas-e-shāḳh-e-āshiyāñ nikle
lagā ke ḳhāna-e-'hasrat' meñ aag kahte haiñ
is aag se na kabhī dekhnā dhuāñ nikle
junun ba-KHair har aafat se kaamran nikle
talash-e-manzil-e-jaanan mein hum jahan nikle
hum aa gae rasan-o-dar tak mohabbat mein
tumhaare qaul faqat zeb-e-dastan nikle
sitam-shiaron ne har ek sitam ke baad kaha
hamare dil ke abhi hausle kahan nikle
nikalna un ka saja kar wo mang mein afshan
ki jaise shab mein sitaron ka karwan nikle
na jaane kaun si taqat thi jis ne rok diya
junun ki rah mein hum jab bhi na-gahan nikle
meri tabahi ka afsana ban gae hamdam
wo baal-o-par jo pas-e-shaKH-e-ashiyan nikle
laga ke KHana-e-'hasrat' mein aag kahte hain
is aag se na kabhi dekhna dhuan nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.