junun-e-dil agar aamada-e-izhaar ho jae
junūn-e-dil agar āmāda-e-iz.hār ho jaa.e
bahār aane se pahle hī chaman bedār ho jaa.e
ḳhushī kaisī ḳhushī se vāsta kyā ġham parastoñ ko
musalsal ġham na ho to zindagī dushvār ho jaa.e
Thahar ai barq ye do-chār tinke jam.a to kar luuñ
bas itnī aur mohlat āshiyāñ tayyār ho jaa.e
atā kar haañ atā kar kā.enāt-e-dard ke mālik
ik aisā dard jo nā-qābil-e-iz.hār ho jaa.e
vo aa.eñ yā na aa.eñ ab maiñ āñkheñ band kartā huuñ
yūñhī shāyad mukammal intizār-e-yār ho jaa.e
ye tūfāñ ye talātum sirf merī zindagī tak hai
agar maiñ ġharq ho jā.ūñ to beḌā paar ho jaa.e
abhī qaabū hai dil par apnī barbādī pe hañstā huuñ
phir is ke ba.ad shāyad zabt-e-ġham dushvār ho jaa.e
nasheman par nasheman is tarah ta.amīr kartā jā
ki girte girte bijlī aap ḳhud bezār ho jaa.e
'sa.īd' ab kyā karūñgā paañv ke chhāloñ se tang aa kar
duā kartā huuñ saarā rāsta pur-ḳhār ho jaa.e
junun-e-dil agar aamada-e-izhaar ho jae
bahaar aane se pahle hi chaman bedar ho jae
KHushi kaisi KHushi se wasta kya gham paraston ko
musalsal gham na ho to zindagi dushwar ho jae
Thahar ai barq ye do-chaar tinke jama to kar lun
bas itni aur mohlat aashiyan tayyar ho jae
ata kar han ata kar kaenat-e-dard ke malik
ek aisa dard jo na-qabil-e-izhaar ho jae
wo aaen ya na aaen ab main aankhen band karta hun
yunhi shayad mukammal intizar-e-yar ho jae
ye tufan ye talatum sirf meri zindagi tak hai
agar main gharq ho jaun to beDa par ho jae
abhi qabu hai dil par apni barbaadi pe hansta hun
phir is ke baad shayad zabt-e-gham dushwar ho jae
nasheman par nasheman is tarah tamir karta ja
ki girte girte bijli aap KHud bezar ho jae
'said' ab kya karunga panw ke chhaalon se tang aa kar
dua karta hun sara rasta pur-KHar ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.