junun-e-ishq hai aur shaghl-e-jada-paimai
junūn-e-ishq hai aur shaġhl-e-jāda-paimā.ī
tirī talāsh meñ aql-o-ḳhirad na kaam aa.ī
ba-faiz-e-ishq ye hai apnī shān-e-rusvā.ī
hue haiñ lāla-o-gul mehr-o-mah tamāshā.ī
tire shuhūd se mumkin nahīñ hai dil ko sukūñ
ki kasratoñ kī hai maz.har ye shān-e-yaktā.ī
mire junūn kī rif.at se tū nahīñ vāqif
tujhe dimāġh hai kyoñ ai faroġh-e-lailā.ī
laraz uThā hai har ik taar sāz-e-hastī kā
ye kis kī kānoñ meñ āvāz-e-dil-navāz aa.ī
banā diyā thā kuchh aisā tirī mohabbat ne
ḳhud apne haal pe aksar mujhe hañsī aa.ī
nikal na jaa.e kahīñ muñh se aah ai 'sāqib'
javāb dene lagī tāqat-e-shakebā.ī
junun-e-ishq hai aur shaghl-e-jada-paimai
teri talash mein aql-o-KHirad na kaam aai
ba-faiz-e-ishq ye hai apni shan-e-ruswai
hue hain lala-o-gul mehr-o-mah tamashai
tere shuhud se mumkin nahin hai dil ko sukun
ki kasraton ki hai mazhar ye shan-e-yaktai
mere junun ki rifat se tu nahin waqif
tujhe dimagh hai kyon ai farogh-e-lailai
laraz uTha hai har ek tar saz-e-hasti ka
ye kis ki kanon mein aawaz-e-dil-nawaz aai
bana diya tha kuchh aisa teri mohabbat ne
KHud apne haal pe aksar mujhe hansi aai
nikal na jae kahin munh se aah ai 'saqib'
jawab dene lagi taqat-e-shakebai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.