junun-e-ishq hai safdar kahin ye dil se niklega
junun-e-ishq hai safdar kahin ye dil se niklega
Sayyad Safdar Hussain
MORE BYSayyad Safdar Hussain
junūn-e-ishq hai 'safdar' kahīñ ye dil se niklegā
jo is kūche meñ aa.egā baḌī mushkil se niklegā
natīja kuchh to mere zabt-e-lā-hāsil se niklegā
chaman meñ aag chhiḌkegā jo naala dil se niklegā
nazar dil se na haT jaa.e kahīñ ai zauq-e-nazzāra
ki un kā kārvān-e-nāz isī manzil se niklegā
hirāsāñ kyoñ hai gar kashtī bhañvar meñ aa ga.ī dil kī
mohabbat kā safīna Duub kar sāhil se niklegā
simaT aa.eñ agar āñkhoñ meñ barq-e-husn kī lahreñ
to ik sho.ala jahāñ-afroz mere dil se niklegā
uḌaa.ī hai jo ḳhaak ahl-e-safar ne us ko chhaTne do
koī rasta isī gard-e-rah-e-manzil se niklegā
haram kyā but-kade bhī kar nahīñ sakte qubūl us ko
fareb-e-lutf khā kar jo tirī mahfil se niklegā
ḳhulūs-e-dil ye kahtā hai qadam aage baḌhā.e jā
koī ḳhud muskurā kar parda-e-mahmil se niklegā
vo ḳhud dekheñge apne husn kī ye ālam-āshobī
ye pahlū bhī mirī vāraftagī-e-dil se niklegā
sajā.e jā chukeñge jab bisāt-e-arsh ke taare
hamārā chāñd bhī hañs kar harīm-e-dil se niklegā
hamārī aarzū hai ḳhvāhish-e-mahbūb ke taabe
hamārā mudda.ā niklā to us ke dil se niklegā
mirī sho.ala-navā.ī phūñk degī bazm ko 'safdar'
pasīna sham.a kā bhī garmi-e-mahfil se niklegā
junun-e-ishq hai 'safdar' kahin ye dil se niklega
jo is kuche mein aaega baDi mushkil se niklega
natija kuchh to mere zabt-e-la-hasil se niklega
chaman mein aag chhiDkega jo nala dil se niklega
nazar dil se na haT jae kahin ai zauq-e-nazzara
ki un ka karwan-e-naz isi manzil se niklega
hirasan kyon hai gar kashti bhanwar mein aa gai dil ki
mohabbat ka safina Dub kar sahil se niklega
simaT aaen agar aankhon mein barq-e-husn ki lahren
to ek shoala jahan-afroz mere dil se niklega
uDai hai jo KHak ahl-e-safar ne us ko chhaTne do
koi rasta isi gard-e-rah-e-manzil se niklega
haram kya but-kade bhi kar nahin sakte qubul us ko
fareb-e-lutf kha kar jo teri mahfil se niklega
KHulus-e-dil ye kahta hai qadam aage baDhae ja
koi KHud muskura kar parda-e-mahmil se niklega
wo KHud dekhenge apne husn ki ye aalam-ashobi
ye pahlu bhi meri waraftagi-e-dil se niklega
sajae ja chukenge jab bisat-e-arsh ke tare
hamara chand bhi hans kar harim-e-dil se niklega
hamari aarzu hai KHwahish-e-mahbub ke tabe
hamara muddaa nikla to us ke dil se niklega
meri shoala-nawai phunk degi bazm ko 'safdar'
pasina shama ka bhi garmi-e-mahfil se niklega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.