junun-e-ishq ko bhi hum ilaj-e-gham samajhte hain
junun-e-ishq ko bhi hum ilaj-e-gham samajhte hain
Ghulam Yahya Anjum
MORE BYGhulam Yahya Anjum
junūn-e-ishq ko bhī ham ilāj-e-ġham samajhte haiñ
jo dil par zaḳhm lagtā hai use marham samajhte haiñ
hai jis ko is zamāne meñ bas apne kaam se matlab
use insāniyat ke vāste ham sam samajhte haiñ
kaho ye dāstān-e-ranj-o-ġham tum ġhair se jā kar
ham aisī be-tukī bāteñ bahut hī kam samajhte haiñ
sukūn us ko mayassar ho gayā ye mil ga.ī jis se
nigāh-e-yār ko ham phuul par shabnam samajhte haiñ
binā insāniyat kī Daal dī jis zaat ne 'anjum'
use ahl-e-ḳhirad sarmāya-e-ādam samajhte haiñ
junun-e-ishq ko bhi hum ilaj-e-gham samajhte hain
jo dil par zaKHm lagta hai use marham samajhte hain
hai jis ko is zamane mein bas apne kaam se matlab
use insaniyat ke waste hum sam samajhte hain
kaho ye dastan-e-ranj-o-gham tum ghair se ja kar
hum aisi be-tuki baaten bahut hi kam samajhte hain
sukun us ko mayassar ho gaya ye mil gai jis se
nigah-e-yar ko hum phul par shabnam samajhte hain
bina insaniyat ki Dal di jis zat ne 'anjum'
use ahl-e-KHirad sarmaya-e-adam samajhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.