junun-e-ishq ko dekha hai aur samjha hai
junūn-e-ishq ko dekhā hai aur samjhā hai
na kah sakūñgā ki ye aañkh hī kā dhokā hai
har ek baat pe dīvāna-vār hañstā hai
mujhe batāyā gayā hai vo shaḳhs mujh sā hai
mohabbateñ to faqat us ḳhudā kī baḳhshish haiñ
jise vo de de usī kā nizām chaltā hai
bulandiyoñ pe pahuñch kar nigāh nīchī rakh
tabhī pata ye chalegā kahāñ tū pahuñchā hai
kabhī thā ibn-e-ḳhudā jin ke vāste 'zāhid'
ab un kī aañkh meñ bas daar hī kā ḳhāka hai
junun-e-ishq ko dekha hai aur samjha hai
na kah sakunga ki ye aankh hi ka dhoka hai
har ek baat pe diwana-war hansta hai
mujhe bataya gaya hai wo shaKHs mujh sa hai
mohabbaten to faqat us KHuda ki baKHshish hain
jise wo de de usi ka nizam chalta hai
bulandiyon pe pahunch kar nigah nichi rakh
tabhi pata ye chalega kahan tu pahuncha hai
kabhi tha ibn-e-KHuda jin ke waste 'zahid'
ab un ki aankh mein bas dar hi ka KHaka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.