junun-e-ishq le aaya are zalim kahan mujhko
junūn-e-ishq le aaya are zālim kahāñ mujh ko
nazar aatī hai apnī zindagī ik dāstāñ mujh ko
bulā.eñ laakh sub.h-o-shām kī ra.anā.iyāñ mujh ko
kahā jaa.e jise dil ab mayassar hai kahāñ mujh ko
use tadbīr se nisbat use taqdīr hī kahiye
dikhā.e zindagī kī har ravish nākāmiyāñ mujh ko
qasam in bastiyoñ se to kahīñ behtar the vīrāne
milā hai kuchh na kuchh aksar sukūn-e-dil jahāñ mujh ko
abas badle hue mausam kī dilkash chāñdnī rāteñ
jo bahlā.eñ na terī yaad kī rangīniyāñ mujh ko
ye nākāmī ke baad ehsās-e-nākāmī ke hangāme
atā kar dī hai goyā daulat-e-kaun-o-makāñ mujh ko
'sahar' jazbāt kā mandir hai aur hālāt kī puujā
na rabt-e-bāġhbāñ mujh ko na ḳhabt-e-āshiyāñ mujh ko
junun-e-ishq le aaya are zalim kahan mujh ko
nazar aati hai apni zindagi ek dastan mujh ko
bulaen lakh subh-o-sham ki ranaiyan mujh ko
kaha jae jise dil ab mayassar hai kahan mujh ko
use tadbir se nisbat use taqdir hi kahiye
dikhae zindagi ki har rawish nakaamiyan mujh ko
qasam in bastiyon se to kahin behtar the virane
mila hai kuchh na kuchh aksar sukun-e-dil jahan mujh ko
abas badle hue mausam ki dilkash chandni raaten
jo bahlaen na teri yaad ki ranginiyan mujh ko
ye nakaami ke baad ehsas-e-nakaami ke hangame
ata kar di hai goya daulat-e-kaun-o-makan mujh ko
'sahar' jazbaat ka mandir hai aur haalat ki puja
na rabt-e-baghban mujh ko na KHabt-e-ashiyan mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.