junun-e-ishq mein aise luTe hum
junūn-e-'ishq meñ aise luTe ham
bahut hī ġham uThā.e aur miTe ham
bahut armān se baiThe the aa kar
tirī mahfil se ranjīda uThe ham
raqīboñ se tumheñ fursat kahāñ hai
tumhāre rāste se lo haTe ham
bahār-e-husn to dekhī bahut hai
magar ik bevafā par mar-miTe ham
jo hākim ġhair the un ko bhagā kar
ġhulāmī kī asīrī se chhuTe ham
ye kyā āzādī-e-hindostāñ hai
jidhar dekho luTe bhī aur miTe ham
'adam meñ hī milī rāhat ai 'bāsir'
zamāne-bhar ke fikroñ se chhuTe ham
junun-e-'ishq mein aise luTe hum
bahut hi gham uThae aur miTe hum
bahut arman se baiThe the aa kar
teri mahfil se ranjida uThe hum
raqibon se tumhein fursat kahan hai
tumhaare raste se lo haTe hum
bahaar-e-husn to dekhi bahut hai
magar ek bewafa par mar-miTe hum
jo hakim ghair the un ko bhaga kar
ghulami ki asiri se chhuTe hum
ye kya aazadi-e-hindostan hai
jidhar dekho luTe bhi aur miTe hum
'adam mein hi mili rahat ai 'basir'
zamane-bhar ke fikron se chhuTe hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.