Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

junun-e-ishq mein shauq-e-ziyan tak kaun pahunchega

Maya Khanna Raje Barelvi

junun-e-ishq mein shauq-e-ziyan tak kaun pahunchega

Maya Khanna Raje Barelvi

MORE BYMaya Khanna Raje Barelvi

    junūn-e-ishq meñ shauq-e-ziyāñ tak kaun pahuñchegā

    yahāñ tak ham chale aa.e yahāñ tak kaun pahuñchegā

    tumhārī bazm meñ ye soch kar ham muskurā.e haiñ

    tumhārī bazm meñ soz-e-nihāñ tak kaun pahuñchegā

    koī mandir meñ baiThā hai koī masjid meñ baiThā hai

    batāo justujū-e-lā-makāñ tak kaun pahuñchegā

    jahāñ har vaqt ho pesh-e-nazar bas maut khaTkā

    vahāñ phir maqsad-e-umr-e-ravāñ tak kaun pahuñchegā

    ye duniyā kho rahī hai jalva-hā-e-husn duniyā meñ

    tumhāre husn aur mere bayāñ tak kaun pahuñchegā

    yaqīn-e-dushmanāñ to hai yaqīn-e-dostāñ kyā hai

    jahāñ merī nazar pahuñchī vahāñ tak kaun pahuñchegā

    jise dekho vahī 'rāje' talabgār-e-masarrat hai

    hamāre ranj-o-ġham dāstāñ tak kaun pahuñchegā

    junun-e-ishq mein shauq-e-ziyan tak kaun pahunchega

    yahan tak hum chale aae yahan tak kaun pahunchega

    tumhaari bazm mein ye soch kar hum muskurae hain

    tumhaari bazm mein soz-e-nihan tak kaun pahunchega

    koi mandir mein baiTha hai koi masjid mein baiTha hai

    batao justuju-e-la-makan tak kaun pahunchega

    jahan har waqt ho pesh-e-nazar bas maut ka khaTka

    wahan phir maqsad-e-umr-e-rawan tak kaun pahunchega

    ye duniya kho rahi hai jalwa-ha-e-husn duniya mein

    tumhaare husn aur mere bayan tak kaun pahunchega

    yaqin-e-dushmanan to hai yaqin-e-dostan kya hai

    jahan meri nazar pahunchi wahan tak kaun pahunchega

    jise dekho wahi 'raje' talabgar-e-masarrat hai

    hamare ranj-o-gham ki dastan tak kaun pahunchega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now