junun-e-ishq na kar iztirab ki tauhin
junūn-e-ishq na kar iztirāb kī tauhīn
ye āh-e-nīm-shabī hai shabāb kī tauhīn
jis anjuman ko banāyā thā ham ne rashk-e-iram
vahīñ huī dil-e-ḳhāna-ḳharāb kī tauhīn
yahī tazād to raunaq-faroz-e-ālam hai
nahīñ ye tīra-shabī āftāb kī tauhīn
nazar uThā ki nazāroñ meñ jaan paḌ jaa.e
hijāb-e-kam-nazarī hai hijāb kī tauhīn
ḳhayāl-e-tauba mujhe yuuñ to hai magar saaqī
na hogī mujh se shab-e-māhtāb kī tauhīn
junun-e-ishq na kar iztirab ki tauhin
ye aah-e-nim-shabi hai shabab ki tauhin
jis anjuman ko banaya tha hum ne rashk-e-iram
wahin hui dil-e-KHana-KHarab ki tauhin
yahi tazad to raunaq-faroz-e-alam hai
nahin ye tira-shabi aaftab ki tauhin
nazar uTha ki nazaron mein jaan paD jae
hijab-e-kam-nazari hai hijab ki tauhin
KHayal-e-tauba mujhe yun to hai magar saqi
na hogi mujh se shab-e-mahtab ki tauhin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.