Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

junun-e-ishq se hal ye sawal ho na saka

Kaukab Shahjahanpuri

junun-e-ishq se hal ye sawal ho na saka

Kaukab Shahjahanpuri

MORE BYKaukab Shahjahanpuri

    junūn-e-ishq se hal ye savāl ho na sakā

    shu.ūr ho na sakā visāl ho na sakā

    firāq-e-parda-e-husn-o-jamāl ho na sakā

    judā nazar se faroġh-e-ḳhayāl ho na sakā

    zahe surūr-e-tamanna zahe nashāt-e-umīd

    vafūr-e-kaif-e-talab meñ savāl ho na sakā

    sitam sitam se jhalaktī rahī bahār-e-karam

    kabhī jalāl hijāb-e-jamāl ho na sakā

    jo ashk aañkh meñ aaya vo muskurātā huā

    dil-e-malūl ḳharāb-e-malāl ho na sakā

    jarāhatoñ meñ izāfa to ho gayā ai dil

    talāfiyoñ se agar indimāl ho na sakā

    fasurda ho ke ġham-e-dost jis se ruuTh gayā

    kisī ḳhushī se vo dil phir nihāl ho na sakā

    hijāb-e-sher-o-suḳhan meñ bahā.e laakh aañsū

    magar faro kabhī dil ubaal ho na sakā

    junun-e-ishq se hal ye sawal ho na saka

    shuur ho na saka ya visal ho na saka

    firaq-e-parda-e-husn-o-jamal ho na saka

    juda nazar se farogh-e-KHayal ho na saka

    zahe surur-e-tamanna zahe nashat-e-umid

    wafur-e-kaif-e-talab mein sawal ho na saka

    sitam sitam se jhalakti rahi bahaar-e-karam

    kabhi jalal hijab-e-jamal ho na saka

    jo ashk aankh mein aaya wo muskuraata hua

    dil-e-malul KHarab-e-malal ho na saka

    jarahaton mein izafa to ho gaya ai dil

    talafiyon se agar indimal ho na saka

    fasurda ho ke gham-e-dost jis se ruTh gaya

    kisi KHushi se wo dil phir nihaal ho na saka

    hijab-e-sher-o-suKHan mein bahae lakh aansu

    magar faro kabhi dil ka ubaal ho na saka

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now