junun-e-ishq ye achchha sila diya tu ne
junūn-e-ishq ye achchhā sila diyā tū ne
zamāne bhar kī nazar se girā diyā tū ne
sabā bhī DhūñDhtī phirtī hai ḳhaak ko merī
miTā miTā ke yahāñ tak miTā diyā tū ne
mire liye hī kamī hai tire karam meñ karīm
ki be-talab ko bhī had se sivā diyā tū ne
vagarna maiñ kyā jahāñ meñ mirī haqīqat kyā
tirā karam hai ki jo kuchh atā kiyā tū ne
gavāhī detī haiñ barbādiyāñ 'asar' terī
kisī ke ishq meñ ḳhud ko miTā diyā tū ne
junun-e-ishq ye achchha sila diya tu ne
zamane bhar ki nazar se gira diya tu ne
saba bhi DhunDhti phirti hai KHak ko meri
miTa miTa ke yahan tak miTa diya tu ne
mere liye hi kami hai tere karam mein karim
ki be-talab ko bhi had se siwa diya tu ne
wagarna main kya jahan mein meri haqiqat kya
tera karam hai ki jo kuchh ata kiya tu ne
gawahi deti hain barbaadiyan 'asar' teri
kisi ke ishq mein KHud ko miTa diya tu ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.