junun-e-shauq-e-mohabbat hai kya kiya jae
junūn-e-shauq-e-mohabbat hai kyā kiyā jaa.e
yahī to rang-e-tabī'at hai kyā kiyā jaa.e
jo apne haath meñ patthar uThā.e phirte haiñ
unhīñ se mujh ko 'aqīdat hai kyā kiyā jaa.e
zamāna mere fasāne se ḳhuub vāqif hai
kisī ko phir bhī shikāyat hai kyā kiyā jaa.e
koī ye jā ke batā de mire raqīboñ se
mujhe to un se bhī ulfat hai kyā kiyā jaa.e
maiñ jab bhī miltā huuñ dil merā saaf hotā hai
udhar to sho’la-e-nafrat hai kyā kiyā jaa.e
hai dil meñ buġhz-o-'inād-o-hasad riyā-kārī
unhīñ kī sirf ye 'ādat hai kyā kiyā jaa.e
samajh sake na vo ab tak havāoñ ke ruḳh ko
mizāj-e-ahl-e-siyāsat hai kyā kiyā jaa.e
ġhasab jo kartā hai ab bhī huqūq auroñ ke
sunā hai sāhab-e-sarvat hai kyā kiyā jaa.e
haiñ but chhupā.e hue apnī āstīnoñ meñ
zabāñ pe kalma-e-vahdat hai kyā kiyā jaa.e
usī ko aaj bhī 'bismil' navāztā hai jahāñ
jo nang-e-fahm-o-farāsat hai kyā kiyā jaa.e
junun-e-shauq-e-mohabbat hai kya kiya jae
yahi to rang-e-tabi'at hai kya kiya jae
jo apne hath mein patthar uThae phirte hain
unhin se mujh ko 'aqidat hai kya kiya jae
zamana mere fasane se KHub waqif hai
kisi ko phir bhi shikayat hai kya kiya jae
koi ye ja ke bata de mere raqibon se
mujhe to un se bhi ulfat hai kya kiya jae
main jab bhi milta hun dil mera saf hota hai
udhar to sho’la-e-nafrat hai kya kiya jae
hai dil mein bughz-o-'inad-o-hasad riya-kari
unhin ki sirf ye 'adat hai kya kiya jae
samajh sake na wo ab tak hawaon ke ruKH ko
mizaj-e-ahl-e-siyasat hai kya kiya jae
ghasab jo karta hai ab bhi huquq auron ke
suna hai sahab-e-sarwat hai kya kiya jae
hain but chhupae hue apni aastinon mein
zaban pe kalma-e-wahdat hai kya kiya jae
usi ko aaj bhi 'bismil' nawazta hai jahan
jo nang-e-fahm-o-farasat hai kya kiya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.