Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

junun-e-shauq ka hasil na tum samjhe na hum samjhe

Kaif Moradaabadi

junun-e-shauq ka hasil na tum samjhe na hum samjhe

Kaif Moradaabadi

MORE BYKaif Moradaabadi

    junūn-e-shauq hāsil na tum samjhe na ham samjhe

    kahāñ donoñ hai manzil na tum samjhe na ham samjhe

    Dubonā chāhtī thiiñ jo bhī ham donoñ kashtī ko

    unhīñ maujoñ meñ thā sāhil na tum samjhe na ham samjhe

    tamannāoñ ke tūfānoñ ne fursat na milne

    maqāmāt-e-nigāh-o-dil na tum samjhe na ham samjhe

    mohabbat ne kuchh aisā hausla baḳhshā thā donoñ ko

    kisī mushkil ko bhī mushkil na tum samjhe na ham samjhe

    shadīd ehsās-e-qurbat se jahāñ mad.hosh the ham tum

    vahīñ thā imtihān-e-dil na tum samjhe na ham samjhe

    mohabbat sirf iz.hār-e-mohabbat ko nahīñ kahte

    fareb-e-sa.ī-e-lā-hāsil na tum samjhe na ham samjhe

    vafā ahd kaisī sādgī ke saath kar baiThe

    vafā hai kis qadar mushkil na tum samjhe na ham samjhe

    sabhī begāna the zāhir meñ ham donoñ hālat se

    magar koī na thā ġhāfil na tum samjhe na ham samjhe

    vo kahte haiñ hameñ bhī 'kaif' rusvā kar diyā tum ne

    magar rusvā.ī hāsil na tum samjhe na ham samjhe

    junun-e-shauq ka hasil na tum samjhe na hum samjhe

    kahan donon ki hai manzil na tum samjhe na hum samjhe

    Dubona chahti thin jo bhi hum donon ki kashti ko

    unhin maujon mein tha sahil na tum samjhe na hum samjhe

    tamannaon ke tufanon ne fursat hi na milne di

    maqamat-e-nigah-o-dil na tum samjhe na hum samjhe

    mohabbat ne kuchh aisa hausla baKHsha tha donon ko

    kisi mushkil ko bhi mushkil na tum samjhe na hum samjhe

    shadid ehsas-e-qurbat se jahan madhosh the hum tum

    wahin tha imtihan-e-dil na tum samjhe na hum samjhe

    mohabbat sirf izhaar-e-mohabbat ko nahin kahte

    fareb-e-sai-e-la-hasil na tum samjhe na hum samjhe

    wafa ka ahd kaisi sadgi ke sath kar baiThe

    wafa hai kis qadar mushkil na tum samjhe na hum samjhe

    sabhi begana the zahir mein hum donon ki haalat se

    magar koi na tha ghafil na tum samjhe na hum samjhe

    wo kahte hain hamein bhi 'kaif' ruswa kar diya tum ne

    magar ruswai ka hasil na tum samjhe na hum samjhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now