junun-e-shauq ko diwana-pan kahna hi paDta hai
junūn-e-shauq ko dīvāna-pan kahnā hī paḌtā hai
yahāñ to rāhbar ko rāhzan kahnā hī paḌtā hai
tasavvur ko tire jalva-fagan kahnā hī paḌtā hai
hameñ tanhā.ī ko bhī anjuman kahnā hī paḌtā hai
ye majbūrī ye māyūsī ye pābandī are tauba
musībat meñ qafas ko bhī chaman kahnā hī paḌtā hai
kuchh is andāz ke mujh se mujhe āzār pahuñche haiñ
har ik se qissa-e-ranj-o-mehan kahnā hī paḌtā hai
miTāne meñ mire koī kamī tū ne na kī lekin
tujhe is par bhī rūh-e-jān-o-tan kahnā hī paḌtā hai
jidhar dekhā hazāroñ zindagī se haath dho baiThe
tire abrū ko teġh-e-saf-shikan kahnā hī paḌtā hai
ma.āl-e-bāryābī kyā batā.ūñ muḳhtasar ye hai
ki shām-e-ġham ko bhī sub.h-e-vatan kahnā hī paḌtā hai
junun-e-shauq ko diwana-pan kahna hi paDta hai
yahan to rahbar ko rahzan kahna hi paDta hai
tasawwur ko tere jalwa-fagan kahna hi paDta hai
hamein tanhai ko bhi anjuman kahna hi paDta hai
ye majburi ye mayusi ye pabandi are tauba
musibat mein qafas ko bhi chaman kahna hi paDta hai
kuchh is andaz ke mujh se mujhe aazar pahunche hain
har ek se qissa-e-ranj-o-mehan kahna hi paDta hai
miTane mein mere koi kami tu ne na ki lekin
tujhe is par bhi ruh-e-jaan-o-tan kahna hi paDta hai
jidhar dekha hazaron zindagi se hath dho baiThe
tere abru ko tegh-e-saf-shikan kahna hi paDta hai
maal-e-baryabi kya bataun muKHtasar ye hai
ki sham-e-gham ko bhi subh-e-watan kahna hi paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.