junun-e-shauq mein aashufta-samanon pe kya guzri
junūn-e-shauq meñ āshufta-sāmānoñ pe kyā guzrī
ḳhirad-mandoñ pe kyā biitī garebānoñ pe kī guzrī
vo jin ke ḳhuun se rangīñ tumhārī bazm-e-ishrat hai
kabhī sochā hai un majbūr insānoñ pe kyā guzrī
mirā ḳhūn-e-jigar to gulsitāñ ke kaam aaya hai
batā.ūñ kis tarah āḳhir bayābānoñ pe kyā guzrī
hamāre dam se qaa.em thī bahār-e-gulshan-o-sahrā
hamāre baad gulshan aur vīrānoñ pe kyā guzrī
ujāloñ ke binā jo ek lamha jī na paate the
shab-e-zulmāt meñ aise sanam-ḳhānoñ pe kyā guzrī
hamārā azm guzrā muskurā kar har havādis se
hameñ sāhil milā jis vaqt tūfānoñ pe kyā guzrī
bahut ma.asūm haiñ 'nāshād' kar ke ham ko dīvāna
hamīñ se pūchhte haiñ chāk-dāmānoñ pe kyā guzrī
junun-e-shauq mein aashufta-samanon pe kya guzri
KHirad-mandon pe kya biti garebanon pe ki guzri
wo jin ke KHun se rangin tumhaari bazm-e-ishrat hai
kabhi socha hai un majbur insanon pe kya guzri
mera KHun-e-jigar to gulsitan ke kaam aaya hai
bataun kis tarah aaKHir bayabanon pe kya guzri
hamare dam se qaem thi bahaar-e-gulshan-o-sahra
hamare baad gulshan aur viranon pe kya guzri
ujalon ke bina jo ek lamha ji na pate the
shab-e-zulmat mein aise sanam-KHanon pe kya guzri
hamara azm guzra muskura kar har hawadis se
hamein sahil mila jis waqt tufanon pe kya guzri
bahut masum hain 'nashad' kar ke hum ko diwana
hamin se puchhte hain chaak-damanon pe kya guzri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.