junun-e-shauq mein aisa bhi waqt aata hai insan par
junūn-e-shauq meñ aisā bhī vaqt aatā hai insāñ par
ki aatī hai hañsī ḳhud apne hī jaib-o-garebāñ par
kalī ḳhāmosh phuul afsurda shabnam har nafas giryāñ
maiñ hairāñ huuñ ki ro.uuñ yā hañsūñ fasl-e-bahārāñ par
bahār-e-sumbul-o-raihāñ se tanhā khele vaale
baḌe ehsān haiñ mere bhī is sehn-e-gulistāñ par
bujhe dil kā fasāna chheḌne vaalo Thahar jaao
mujhe mātam to kar lene do is rasm-e-charāġhāñ par
har ik ko dekh kar ālūda-e-isyāñ ye Dartā huuñ
kahīñ mujh ko na sharmānā paḌe pākī-e-dāmāñ par
kuchh is andāz se kashtī ko le Dūbīñ sar-e-sāhil
ki 'muslim' mujh ko pyaar aa hī gayā amvāj-e-tūfāñ par
junun-e-shauq mein aisa bhi waqt aata hai insan par
ki aati hai hansi KHud apne hi jaib-o-gareban par
kali KHamosh phul afsurda shabnam har nafas giryan
main hairan hun ki roun ya hansun fasl-e-bahaaran par
bahaar-e-sumbul-o-raihan se tanha khele wale
baDe ehsan hain mere bhi is sehn-e-gulistan par
bujhe dil ka fasana chheDne walo Thahar jao
mujhe matam to kar lene do is rasm-e-charaghan par
har ek ko dekh kar aaluda-e-isyan ye Darta hun
kahin mujh ko na sharmana paDe paki-e-daman par
kuchh is andaz se kashti ko le Dubin sar-e-sahil
ki 'muslim' mujh ko pyar aa hi gaya amwaj-e-tufan par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.