junun-e-shauq mein kuchh aisa kho gaya hun main
junun-e-shauq mein kuchh aisa kho gaya hun main
Nashtar Qaimganjvi
MORE BYNashtar Qaimganjvi
junūn-e-shauq meñ kuchh aisā kho gayā huuñ maiñ
ki vo nazar meñ haiñ aur un ko DhūñDhtā huuñ maiñ
kafan se is liye ab muñh ko Dhāñptā huuñ maiñ
gunāhgār huuñ duniyā se jā rahā huuñ maiñ
tirī talāsh tirī justujū tirī dhun meñ
adam se ālam-e-hastī meñ aa gayā huuñ maiñ
kafan kī uuprī chādar bhī khiñch ga.ī tan se
luTā huuñ jab sar-e-manzil pahuñch gayā huuñ maiñ
na jaane ye mirī qismat hai yā tirī hikmat
jo mil gayā hai kahīñ tū to kho gayā huuñ maiñ
na raushnī hai koī raah meñ na rahbar hai
akelā manzil-e-maqsad pe jā rahā huuñ maiñ
ye zindagī bhī koī zindagī hai ai 'nashtar'
kisī kī ek jhalak ko taras rahā huuñ maiñ
junun-e-shauq mein kuchh aisa kho gaya hun main
ki wo nazar mein hain aur un ko DhunDhta hun main
kafan se is liye ab munh ko Dhanpta hun main
gunahgar hun duniya se ja raha hun main
teri talash teri justuju teri dhun mein
adam se aalam-e-hasti mein aa gaya hun main
kafan ki upri chadar bhi khinch gai tan se
luTa hun jab sar-e-manzil pahunch gaya hun main
na jaane ye meri qismat hai ya teri hikmat
jo mil gaya hai kahin tu to kho gaya hun main
na raushni hai koi rah mein na rahbar hai
akela manzil-e-maqsad pe ja raha hun main
ye zindagi bhi koi zindagi hai ai 'nashtar'
kisi ki ek jhalak ko taras raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.