junun gar baDh gaya ruswaiyan barbaad kar dengi
junūñ gar baḌh gayā rusvā.iyāñ barbād kar deñgī
na yuuñ pīchhe chalo parchhā.iyāñ barbād kar deñgī
tumheñ zid hai akele hī chaloge soch kar dekho
ye kuchh āsāñ nahīñ tanhā.iyāñ barbād kar deñgī
purāne zaḳhm aise khol kar rakhne se kyā hāsil
ye apne par sitam-ārā.iyāñ barbād kar deñgī
ḳhushī meñ kyā hai jo ġham meñ nahīñ kyā baat kah Daalī
tumheñ ye 'ilm kī gahrā.iyāñ barbād kar deñgī
ġhazal sachchī kaho achchhī kaho jo dil ko chhū jaa.e
'tapish' ye qāfiya-paimāeyāñ barbād kar deñgī
junun gar baDh gaya ruswaiyan barbaad kar dengi
na yun pichhe chalo parchhaiyan barbaad kar dengi
tumhein zid hai akele hi chaloge soch kar dekho
ye kuchh aasan nahin tanhaiyan barbaad kar dengi
purane zaKHm aise khol kar rakhne se kya hasil
ye apne par sitam-araiyan barbaad kar dengi
KHushi mein kya hai jo gham mein nahin kya baat kah Dali
tumhein ye 'ilm ki gahraiyan barbaad kar dengi
ghazal sachchi kaho achchhi kaho jo dil ko chhu jae
'tapish' ye qafiya-paimaeyan barbaad kar dengi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.