junun hai dasht hai tanhaiyan hain aur main hun
junun hai dasht hai tanhaiyan hain aur main hun
Rahbar Tabani Dariyabadi
MORE BYRahbar Tabani Dariyabadi
junūñ hai dasht hai tanhā.iyāñ haiñ aur maiñ huuñ
azal se bādiya-paimā.iyāñ haiñ aur maiñ huuñ
mirī ġhazal meñ haiñ qaus-e-quzah ke sātoñ rang
urūs-e-fikr kī añgḌā.iyāñ haiñ aur maiñ huuñ
kahāñ mahāz-e-suḳhan aur kahāñ mirā jaisā
bas us kī hausla-afzā.iyāñ haiñ aur maiñ huuñ
vahī hai merā muhāfiz vahī nigahbāñ hai
ki mere donoñ taraf khā.iyāñ haiñ aur maiñ huuñ
na pūchhiye mire aish-o-nishāt ke asbāb
sunahre ḳhvāboñ kī ra.anā.iyāñ haiñ aur maiñ huuñ
harā-bharā na rahe kis liye mirā har zaḳhm
ki hādsāt kī purvā.iyāñ haiñ aur maiñ huuñ
akele-pan kā jo ehsās thā vo ab bhī hai
nazar-fareb shanāsā.iyāñ haiñ aur maiñ huuñ
hirās ḳhauf sarāsīmgī dhuāñ ātish
guzishta ahd kī parchhā.iyāñ haiñ aur maiñ huuñ
suḳhan-shanāsoñ kī mahfil meñ aaj ai 'rahbar'
rubā.iyāt haiñ chaupā.iyāñ haiñ aur maiñ huuñ
junun hai dasht hai tanhaiyan hain aur main hun
azal se baadiya-paimaiyan hain aur main hun
meri ghazal mein hain qaus-e-quzah ke saton rang
urus-e-fikr ki angDaiyan hain aur main hun
kahan mahaz-e-suKHan aur kahan mera jaisa
bas us ki hausla-afzaiyan hain aur main hun
wahi hai mera muhafiz wahi nigahban hai
ki mere donon taraf khaiyan hain aur main hun
na puchhiye mere aish-o-nishat ke asbab
sunahre KHwabon ki ranaiyan hain aur main hun
hara-bhara na rahe kis liye mera har zaKHm
ki hadsat ki purwaiyan hain aur main hun
akele-pan ka jo ehsas tha wo ab bhi hai
nazar-fareb shanasaiyan hain aur main hun
hiras KHauf sarasimgi dhuan aatish
guzishta ahd ki parchhaiyan hain aur main hun
suKHan-shanason ki mahfil mein aaj ai 'rahbar'
rubaiyat hain chaupaiyan hain aur main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.