junun irfan ban kar rah gaya hai
junūñ irfān ban kar rah gayā hai
ye kufr īmān ban kar rah gayā hai
ye coffē-ghar mirī shāmoñ kā mehvar
mirī pahchān ban kar rah gayā hai
farishta jis ko banñā thā vo insāñ
faqat haivān ban kar rah gayā hai
vo thā ik nukta-dāñ ḳhush-fikr shā.er
magar nādān ban kar rah gayā hai
suḳhan merā tirī bazm-e-tarab meñ
surīlī taan ban kar rah gayā hai
ye kaisī mahviyat hai merā honā
tirā paimān ban kar rah gayā hai
hue nā-paid ehsās-o-taḳhayyul
adab be-jān ban kar rah gayā hai
jadīdiyat meñ be-chārā suḳhnavar
ḳhirad kī shaan ban kar rah gayā hai
dabistān-e-suḳhan ab 'krishn' mohan
shu.ūristān ban kar rah gayā hai
junun irfan ban kar rah gaya hai
ye kufr iman ban kar rah gaya hai
ye coffee-ghar meri shamon ka mehwar
meri pahchan ban kar rah gaya hai
farishta jis ko banna tha wo insan
faqat haiwan ban kar rah gaya hai
wo tha ek nukta-dan KHush-fikr shaer
magar nadan ban kar rah gaya hai
suKHan mera teri bazm-e-tarab mein
surili tan ban kar rah gaya hai
ye kaisi mahwiyat hai mera hona
tera paiman ban kar rah gaya hai
hue na-paid ehsas-o-taKHayyul
adab be-jaan ban kar rah gaya hai
jadidiyat mein be-chaara suKHnawar
KHirad ki shan ban kar rah gaya hai
dabistan-e-suKHan ab 'krishn' mohan
shuuristan ban kar rah gaya hai
- Book : Hama-e-Rang (Pg. 76)
- Author : Mohan Krishan
- Publication : Star Publications Pvt. Ltd. (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.