junun jab muskuraata hai KHirad ki gul-fishani par
junun jab muskuraata hai KHirad ki gul-fishani par
Anjum Saharanpuri
MORE BYAnjum Saharanpuri
junūñ jab muskurātā hai ḳhirad kī gul-fishānī par
vo aalam ik qayāmat hai irādoñ kī javānī par
hañsī aatī rahī phūloñ ko merī be-zabānī par
rahā maġhmūm maiñ jitnā ma.āl-e-shādmānī par
agar vaa.iz tujhe apnā taqaddus sauñp saktā hai
maiñ kar duuñ mai-kade qurbān terī naujavānī par
ridā-e-kaif-o-mastī oḌh leñ saaqī ye maiḳhāne
vo bikhrā deñ jo zulfoñ ko sharāb-e-arġhavānī par
hañsī uḌtī hai ġhunchoñ ke baḌe dilkash tabassum kī
vahāñ tanqīd ho jaatī hai kaliyoñ kī javānī par
ye kis ne rū-e-zebā se naqāb ulTā gulistāñ meñ
bahāroñ kī tabī.at aa ga.ī 'anjum' ravānī par
junun jab muskuraata hai KHirad ki gul-fishani par
wo aalam ek qayamat hai iradon ki jawani par
hansi aati rahi phulon ko meri be-zabani par
raha maghmum main jitna maal-e-shadmani par
agar waiz tujhe apna taqaddus saunp sakta hai
main kar dun mai-kade qurban teri naujawani par
rida-e-kaif-o-masti oDh len saqi ye maiKHane
wo bikhra den jo zulfon ko sharab-e-arghawani par
hansi uDti hai ghunchon ke baDe dilkash tabassum ki
wahan tanqid ho jati hai kaliyon ki jawani par
ye kis ne ru-e-zeba se naqab ulTa gulistan mein
bahaaron ki tabiat aa gai 'anjum' rawani par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.