junun ke dam se aaKHir martaba kaisa mila mujhko
junūñ ke dam se āḳhir martaba kaisā milā mujh ko
abhī farhād-o-qais aa.e the kahne marhabā mujh ko
kisī sūrat bhī rad hotā nahīñ ye faisla dil kā
nazar aatā nahīñ koī bhī tujh sā dūsrā mujh ko
sar-e-kunj-e-tamannā phir ḳhushī se gungunā.uñgā
agar vo lauT kar aa.e to phir tum dekhnā mujh ko
na jān-e-rashk se ġhusse se ġham se yā raqābat se
ye kis andāz se taktā hai terā aa.ina mujh ko
khule to sab zamānoñ ke ḳhazāne haath aa jaa.eñ
dar-e-iqlīm-e-haft-ālam hai vo band-e-qabā mujh ko
gumāñ meñ bhī gumāñ lagtī hai ab to zindagī merī
nazar aatā hai ab vo ḳhvāb meñ bhī ḳhvāb sā mujh ko
kasāfat baar pā saktī nahīñ aisī latāfat meñ
karam us kā ki baḳhshā dil ke badle aabla mujh ko
sabā merī qadam-bosī se pahle gul na dekhegī
agar vahshat ne kuchh din baaġh meñ rahne diyā mujh ko
na niklī aaj gar koī yahāñ yakjā.ī kī sūrat
to kal se DhūñDte phirnā jahāñ meñ jā-ba-jā mujh ko
guzargāh-e-nafas meñ huuñ misāl-e-barg-e-āvāra
koī dam meñ uḌā le jā.egī bād-e-fanā mujh ko
vo dil-āvez āñkheñ vo lab-o-ruḳhsār vo zulfeñ
nahīñ ab dekhnā kuchh bhī nahīñ us ke sivā mujh ko
azal se tā-abad duniyā se le kar āsmānoñ tak
nazar aatā hai terī hī nazar kā silsila mujh ko
mire hone se hī kuchh e'tibār us kā bhī qaa.em hai
junūñ tum se nimaT legā jo dīvāna kahā mujh ko
koī 'irfān' mujh meñ se mujhe āvāz detā hai
are tū sochtā kyā hai kabhī kuchh to batā mujh ko
junun ke dam se aaKHir martaba kaisa mila mujh ko
abhi farhad-o-qais aae the kahne marhaba mujh ko
kisi surat bhi rad hota nahin ye faisla dil ka
nazar aata nahin koi bhi tujh sa dusra mujh ko
sar-e-kunj-e-tamanna phir KHushi se gungunaunga
agar wo lauT kar aae to phir tum dekhna mujh ko
na jaan-e-rashk se ghusse se gham se ya raqabat se
ye kis andaz se takta hai tera aaina mujh ko
khule to sab zamanon ke KHazane hath aa jaen
dar-e-iqlim-e-haft-alam hai wo band-e-qaba mujh ko
guman mein bhi guman lagti hai ab to zindagi meri
nazar aata hai ab wo KHwab mein bhi KHwab sa mujh ko
kasafat bar pa sakti nahin aisi latafat mein
karam us ka ki baKHsha dil ke badle aabla mujh ko
saba meri qadam-bosi se pahle gul na dekhegi
agar wahshat ne kuchh din bagh mein rahne diya mujh ko
na nikli aaj gar koi yahan yakjai ki surat
to kal se DhunDte phirna jahan mein ja-ba-ja mujh ko
guzargah-e-nafas mein hun misal-e-barg-e-awara
koi dam mein uDa le jaegi baad-e-fana mujh ko
wo dil-awez aankhen wo lab-o-ruKHsar wo zulfen
nahin ab dekhna kuchh bhi nahin us ke siwa mujh ko
azal se ta-abad duniya se le kar aasmanon tak
nazar aata hai teri hi nazar ka silsila mujh ko
mere hone se hi kuchh e'tibar us ka bhi qaem hai
junun tum se nimaT lega jo diwana kaha mujh ko
koi 'irfan' mujh mein se mujhe aawaz deta hai
are tu sochta kya hai kabhi kuchh to bata mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.