junun ke daur mein aisi bhi ek ghaDi aai
junūñ ke daur meñ aisī bhī ik ghaḌī aa.ī
ki apne haal pe be-sāḳhta hañsī aa.ī
vahīñ diyā hai sahārā jhalak dikhā ke mujhe
jahāñ bhī zauq-e-talab meñ mire kamī aa.ī
hai apnā zauq-e-mohabbat varā-e-zauq-e-jahāñ
ki tum ne zulm kiye mujh meñ tāzgī aa.ī
farāz-e-tūr ho us meñ ki bazm-e-husn-o-jamāl
uḌaa.e hosh jahāñ bhī tujhe hañsī aa.ī
mazāq-e-kufr kī tū ne hī to binā Daalī
ki tū na sāmne aaya na bandagī aa.ī
chalā jo kūcha-e-jānāñ kī samt meñ 'naḳhshab'
to duur tak mujhe samjhāne zindagī aa.ī
junun ke daur mein aisi bhi ek ghaDi aai
ki apne haal pe be-saKHta hansi aai
wahin diya hai sahaara jhalak dikha ke mujhe
jahan bhi zauq-e-talab mein mere kami aai
hai apna zauq-e-mohabbat wara-e-zauq-e-jahan
ki tum ne zulm kiye mujh mein tazgi aai
faraaz-e-tur ho us mein ki bazm-e-husn-o-jamal
uDae hosh jahan bhi tujhe hansi aai
mazaq-e-kufr ki tu ne hi to bina Dali
ki tu na samne aaya na bandagi aai
chala jo kucha-e-jaanan ki samt mein 'naKHshab'
to dur tak mujhe samjhane zindagi aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.