junun ke faiz se hasil hai ye kamal mujhe
junūñ ke faiz se hāsil hai ye kamāl mujhe
na āstīñ kā na dāman kā hai ḳhayāl mujhe
banā ho jab ki mirā siina ā.ina-ḳhāna
shikast-e-shīsha-e-dil kā ho kyoñ malāl mujhe
mirī balā se koī laakh hātim-e-tai ho
ki ibtidā se nahīñ ādat-e-savāl mujhe
ye bad-lagām sahī maiñ bhī kam savār nahīñ
zamāna kar nahīñ saktā hai pā.emāl mujhe
kamāl-e-ishq kahūñ kyoñ na is tasavvur ko
ki jis ke faiz se ho hijr bhī visāl mujhe
maiñ sāf-go huuñ ki dil meñ nahīñ hai mail koī
maiñ rāst-rau huuñ ki bhātī nahīñ hai chaal mujhe
adab navāz kahā karte haiñ ‘amīn-e-hazīñ'
magar avaam mohammad masīh paal mujhe
junun ke faiz se hasil hai ye kamal mujhe
na aastin ka na daman ka hai KHayal mujhe
bana ho jab ki mera sina aaina-KHana
shikast-e-shisha-e-dil ka ho kyon malal mujhe
meri bala se koi lakh hatim-e-tai ho
ki ibtida se nahin aadat-e-sawal mujhe
ye bad-lagam sahi main bhi kam sawar nahin
zamana kar nahin sakta hai paemal mujhe
kamal-e-ishq kahun kyon na is tasawwur ko
ki jis ke faiz se ho hijr bhi visal mujhe
main saf-go hun ki dil mein nahin hai mail koi
main rast-rau hun ki bhati nahin hai chaal mujhe
adab nawaz kaha karte hain ‘amin-e-hazin'
magar awam mohammad masih pal mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.