junun ke hath se KHwar-o-KHajil nahin hota
junūñ ke haath se ḳhvār-o-ḳhajil nahīñ hotā
jo apne aap meñ itnā muḳhil nahīñ hotā
kabhī kabhī nikal aatā huuñ apne aap se maiñ
kabhī kabhī mire siine meñ dil nahīñ hotā
ġhamoñ ne kī hai salīqe se tarbiyat merī
maiñ baat baat pe ab mushta'il nahīñ hotā
tujhe milī hai pazīrā.ī to ġhurūr na kar
kisī kā nām-o-nishāñ mustaqil nahīñ hotā
jo har mahīne utartā hai mere logoñ par
'azāb hotā hai bijlī kā bill nahīñ hotā
kisī kisī pe 'ināyat ḳhudā kī hotī hai
har ik hasīn ke hoñToñ pe til nahīñ hotā
zamīñ pe baiTh ke kartā huuñ girya-o-zārī
yahī sabab hai ki be-āb-o-gil nahīñ hotā
ye aur baat ki bardāsht kar liyā maiñ ne
vagarna kaun sā ġham jāñ-gusil nahīñ hotā
bahut Thikāne haiñ us shaḳhs ke magar phir bhī
vo mere dil se kahīñ muntaqil nahīñ hotā
ḳhushā vo aañkh jo nam se chamaktī rahtī hai
ḳhushā vo dil ki jo patthar kī sil nahīñ hotā
jigar ke ghaav ko chāragarī se kyā matlab
ye zaḳhm vo hai ki jo mundamil nahīñ hotā
vahī to hotā hai kuchh kar guzarne kā lamha
maiñ apne aap se jab muttasil nahīñ hotā
junun ke hath se KHwar-o-KHajil nahin hota
jo apne aap mein itna muKHil nahin hota
kabhi kabhi nikal aata hun apne aap se main
kabhi kabhi mere sine mein dil nahin hota
ghamon ne ki hai saliqe se tarbiyat meri
main baat baat pe ab mushta'il nahin hota
tujhe mili hai pazirai to ghurur na kar
kisi ka nam-o-nishan mustaqil nahin hota
jo har mahine utarta hai mere logon par
'azab hota hai bijli ka bill nahin hota
kisi kisi pe 'inayat KHuda ki hoti hai
har ek hasin ke honTon pe til nahin hota
zamin pe baiTh ke karta hun girya-o-zari
yahi sabab hai ki be-ab-o-gil nahin hota
ye aur baat ki bardasht kar liya main ne
wagarna kaun sa gham jaan-gusil nahin hota
bahut Thikane hain us shaKHs ke magar phir bhi
wo mere dil se kahin muntaqil nahin hota
KHusha wo aankh jo nam se chamakti rahti hai
KHusha wo dil ki jo patthar ki sil nahin hota
jigar ke ghaw ko chaaragari se kya matlab
ye zaKHm wo hai ki jo mundamil nahin hota
wahi to hota hai kuchh kar guzarne ka lamha
main apne aap se jab muttasil nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.