junun ke shahr se guzar nahin hua to kya hua
junūñ ke shahr se guzar nahīñ huā to kyā huā
agar ye mā'raka bhī sar nahīñ huā to kyā huā
ye soch kar guzār deñge chaar din kī zindagī
koī hamārā ham-safar nahīñ huā to kyā huā
shab-e-visāl ke hamāre jism par nishān haiñ
hamārā 'ishq mo'tabar nahīñ huā to kyā huā
mire kisī raqīb kī du'ā qubūl ho ga.ī
nasīb kū-e-yār gar nahīñ huā to kyā huā
havā ne kyoñ banā liyā hai fāsla charāġh se
javāb do ye ḳhauf-o-Dar nahīñ huā to kyā huā
vo be-panah hasīn hai so maiñ faqat hasīn huuñ
hasīn huuñ hasīn-tar nahīñ huā to kyā huā
yahāñ pe sabr kījiye ye kār-zār-e-‘ishq hai
jo chāhte the vo agar nahīñ huā to kyā huā
ye shahr hai yahāñ ke log kab vafā-parast haiñ
vafā kā zikr rāt-bhar nahīñ huā to kyā huā
har ek shai palaT rahī hai apnī asl kī taraf
agar maiñ āḳhirī bashar nahīñ huā to kyā huā
hamārā mas.ala hai ham ḳhudā se kyoñ gila kareñ
vo mehvar-e-dil-o-nazar nahīñ huā to kyā huā
junun ke shahr se guzar nahin hua to kya hua
agar ye ma'raka bhi sar nahin hua to kya hua
ye soch kar guzar denge chaar din ki zindagi
koi hamara ham-safar nahin hua to kya hua
shab-e-visal ke hamare jism par nishan hain
hamara 'ishq mo'tabar nahin hua to kya hua
mere kisi raqib ki du'a qubul ho gai
nasib ku-e-yar gar nahin hua to kya hua
hawa ne kyon bana liya hai fasla charagh se
jawab do ye KHauf-o-Dar nahin hua to kya hua
wo be-panah hasin hai so main faqat hasin hun
hasin hun hasin-tar nahin hua to kya hua
yahan pe sabr kijiye ye kar-zar-e-‘ishq hai
jo chahte the wo agar nahin hua to kya hua
ye shahr hai yahan ke log kab wafa-parast hain
wafa ka zikr raat-bhar nahin hua to kya hua
har ek shai palaT rahi hai apni asl ki taraf
agar main aaKHiri bashar nahin hua to kya hua
hamara masala hai hum KHuda se kyon gila karen
wo mehwar-e-dil-o-nazar nahin hua to kya hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.