junun ki aaD le kar aap se begana ho jae
junūñ kī aaḌ le kar aap se begāna ho jaa.e
bahut hushiyār hai dānista jo dīvāna ho jaa.e
mazāq-e-ishq paiham laġhzish-e-mastāna ho jaa.e
jise dīvāna kah deñ aap vo dīvāna ho jaa.e
agar dast-e-ajal kā aasrā paa.e na duniyā meñ
hujūm-e-dard-o-ġham se aadmī dīvāna ho jaa.e
tumhāre dard kā ġham kā alam kā soz-e-paiham kā
agar tartīb de luuñ maiñ to ik afsāna ho jaa.e
dobāra tuur par jab bhī naqāb-e-ruḳh uThā deñ vo
zamāna sho.ala-hā-e-husn kā parvāna ho jaa.e
use labbaik kahtī hai hayāt-e-jāvidāñ baḌh kar
jo ġham par jaan de jo ishq kā dīvāna ho jaa.e
nigāh-e-nāz meñ ho kaash shān-e-barhamī paidā
mukammal zindagī se maut kā afsāna ho jaa.e
use manzil se kyā matlab zamāna us kī manzil hai
ḳhayāl-e-manzil-e-maqsad se jo begāna ho jaa.e
'vakīl' ab tak sadā.eñ tuur kī mahfil se aatī haiñ
jise kuchh hosh meñ rahnā ho vo dīvāna ho jaa.e
junun ki aaD le kar aap se begana ho jae
bahut hushiyar hai danista jo diwana ho jae
mazaq-e-ishq paiham laghzish-e-mastana ho jae
jise diwana kah den aap wo diwana ho jae
agar dast-e-ajal ka aasra pae na duniya mein
hujum-e-dard-o-gham se aadmi diwana ho jae
tumhaare dard ka gham ka alam ka soz-e-paiham ka
agar tartib de lun main to ek afsana ho jae
dobara tur par jab bhi naqab-e-ruKH uTha den wo
zamana shoala-ha-e-husn ka parwana ho jae
use labbaik kahti hai hayat-e-jawidan baDh kar
jo gham par jaan de jo ishq ka diwana ho jae
nigah-e-naz mein ho kash shan-e-barhami paida
mukammal zindagi se maut ka afsana ho jae
use manzil se kya matlab zamana us ki manzil hai
KHayal-e-manzil-e-maqsad se jo begana ho jae
'wakil' ab tak sadaen tur ki mahfil se aati hain
jise kuchh hosh mein rahna ho wo diwana ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.