junun ki ek mukammal dastan malum hoti hai
junūñ kī ik mukammal dāstāñ ma.alūm hotī hai
mirī hastī tamāshā-e-jahāñ ma.alūm hotī hai
mohabbat ko ye duniyā vaj.h-e-ġham kahtī hai kyoñ āḳhir
mujhe to ye nashāt-e-be-karāñ ma.alūm hotī hai
ik aisā vaqt bhī aatā hai daurān-e-mohabbat meñ
dil-e-muztar kī har dhaḌkan fuġhāñ ma.alūm hotī hai
ḳhudā shāhid hai jis din se nigāheñ tum ne pherīñ haiñ
mujhe ye zindagī bār-e-garāñ ma.alūm hotī hai
ḳhulūs-o-mehr-o-ulfat jazba-e-īsār kis meñ hai
'ziyā' ye baat vaqt-e-imtihāñ ma.alūm hotī hai
junun ki ek mukammal dastan malum hoti hai
meri hasti tamasha-e-jahan malum hoti hai
mohabbat ko ye duniya wajh-e-gham kahti hai kyon aaKHir
mujhe to ye nashat-e-be-karan malum hoti hai
ek aisa waqt bhi aata hai dauran-e-mohabbat mein
dil-e-muztar ki har dhaDkan fughan malum hoti hai
KHuda shahid hai jis din se nigahen tum ne pherin hain
mujhe ye zindagi bar-e-garan malum hoti hai
KHulus-o-mehr-o-ulfat jazba-e-isar kis mein hai
'ziya' ye baat waqt-e-imtihan malum hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.