junun kuchh kar guzarne ke liye hai
junūñ kuchh kar guzarne ke liye hai
diloñ ke zaḳhm bharne ke liye hai
tirā yuuñ chhoḌ jaanā mere dil kī
kasak ban kar utarne ke liye hai
zamāne-bhar kā mujh par zulm Dhānā
tirī ummīd karne ke liye hai
jahāñ se kyā chhupānā ye mohabbat
ye ḳhushbū 'aam karne ke liye hai
tumhārī haañ nahīñ kā faisla ab
mire jiine ke marne ke liye hai
junun kuchh kar guzarne ke liye hai
dilon ke zaKHm bharne ke liye hai
tera yun chhoD jaana mere dil ki
kasak ban kar utarne ke liye hai
zamane-bhar ka mujh par zulm Dhana
teri ummid karne ke liye hai
jahan se kya chhupana ye mohabbat
ye KHushbu 'am karne ke liye hai
tumhaari han nahin ka faisla ab
mere jine ke marne ke liye hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.