junun mein ab wo afzaish nahin hai
junūñ meñ ab vo afzā.ish nahīñ hai
zuleḳhā meñ bhī zebā.ish nahīñ hai
tum apnā ishq apne paas rakkho
mirī bāñhoñ meñ gunjā.ish nahīñ hai
mohabbat paak hai merī yaqīñ kar
havas kī koī ālā.ish nahīñ hai
mirī jaañ ishq kī sarhad na pūchho
zamīn-e-dil kī paimā.ish nahīñ hai
mohabbat ek fitrī shai hai jānāñ
ye mere dil kī paidā.ish nahīñ hai
zabāñ terī mujhe chāhe hai lekin
nigāhoñ meñ vo farmā.ish nahīñ hai
javāno merī bas ik baat sun lo
junūñ meñ koī āsā.ish nahīñ hai
jahān-e-dil ke har goshe meñ 'kāshif'
pareshānī hai pairā.ish nahīñ hai
junun mein ab wo afzaish nahin hai
zuleKHa mein bhi zebaish nahin hai
tum apna ishq apne pas rakkho
meri banhon mein gunjaish nahin hai
mohabbat pak hai meri yaqin kar
hawas ki koi aalaish nahin hai
meri jaan ishq ki sarhad na puchho
zamin-e-dil ki paimaish nahin hai
mohabbat ek fitri shai hai jaanan
ye mere dil ki paidaish nahin hai
zaban teri mujhe chahe hai lekin
nigahon mein wo farmaish nahin hai
jawano meri bas ek baat sun lo
junun mein koi aasaish nahin hai
jahan-e-dil ke har goshe mein 'kashif'
pareshani hai pairaish nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.