junun mein mubtala hote hue bhi
junūñ meñ mubtalā hote hue bhī
maiñ gūñgā huuñ sadā hote hue bhī
na-jāne kaunsā mausam hai mujh meñ
ghuTan hai ik havā hote hue bhī
rivāyat se juḌā ik shaḳhs huuñ maiñ
purānā huuñ nayā hote hue bhī
ye log andar se kitne khokhle haiñ
bazāhir pārsā hote hue bhī
bhulā paayā nahīñ mujh ko abhī tak
vo itnā bevafā hote hue bhī
vo ḳhud tark-e-ta'alluq chāhtā thā
pareshāñ thā judā hote hue bhī
junun mein mubtala hote hue bhi
main gunga hun sada hote hue bhi
na-jaane kaunsa mausam hai mujh mein
ghuTan hai ek hawa hote hue bhi
riwayat se juDa ek shaKHs hun main
purana hun naya hote hue bhi
ye log andar se kitne khokhle hain
bazahir parsa hote hue bhi
bhula paya nahin mujh ko abhi tak
wo itna bewafa hote hue bhi
wo KHud tark-e-ta'alluq chahta tha
pareshan tha juda hote hue bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.