junun mein qalb-o-jigar ke TukDon ke marhalon se guzar gaya hun
junun mein qalb-o-jigar ke TukDon ke marhalon se guzar gaya hun
Ameer Hamza Aazmi
MORE BYAmeer Hamza Aazmi
junūñ meñ qalb-o-jigar ke TukḌoñ ke marhaloñ se guzar gayā huuñ
maiñ ashk ban kar salīb-e-mizhgāñ pe reza-reza bikhar gayā huuñ
baḌā dilāvar baḌā saḳhī huuñ ki dushmanoñ kī kamīn-gah meñ
maiñ aaj apne hī neze kī nok pe le ke apnā hī sar gayā huuñ
mire a.izzā mujhe baToreñ ki maiñ bhī yak-musht mar ke dekhūñ
ki vaqfe-vaqfe se thoḌā thoḌā bahut sī qistoñ meñ mar gayā huuñ
har ek manzar vaqār-e-sher-o-adab kī saudāgarī kā manzar
maiñ ḳhvāb meñ huuñ ki jāgtā huuñ maiñ jī rahā huuñ ki mar gayā huuñ
mirā shu.ūr-o-shi.ār-o-ash.ār sab had-e-lā-shu.ūr meñ haiñ
bisāt-e-naqd-o-nazar ke sar se misāl-e-sarsar guzar gayā hoñ
junun mein qalb-o-jigar ke TukDon ke marhalon se guzar gaya hun
main ashk ban kar salib-e-mizhgan pe reza-reza bikhar gaya hun
baDa dilawar baDa saKHi hun ki dushmanon ki kamin-gah mein
main aaj apne hi neze ki nok pe le ke apna hi sar gaya hun
mere aizza mujhe baToren ki main bhi yak-musht mar ke dekhun
ki waqfe-waqfe se thoDa thoDa bahut si qiston mein mar gaya hun
har ek manzar waqar-e-sher-o-adab ki saudagari ka manzar
main KHwab mein hun ki jagta hun main ji raha hun ki mar gaya hun
mera shuur-o-shiar-o-ashaar sab had-e-la-shuur mein hain
bisat-e-naqd-o-nazar ke sar se misal-e-sarsar guzar gaya hon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.