junun mein ret ko yun hi nahin nichoDa tha
junūñ meñ ret ko yuuñ hī nahīñ nichoḌā thā
kisī kī pyaas ziyāda thī paanī thoḌā thā
phir us ke ba.ad to āñkhoñ se niiñd ġhā.eb thī
kisī ḳhayāl ne ehsās ko jhiñjhoḌā thā
tamām umr bhaTakte rahe the vahshat meñ
bas ek martaba ham ne hisār toḌā thā
vajūd rakhnā thā apnī shanāḳht kho kar bhī
nadī ne ḳhud ko samundar kī samt moḌā thā
ye mushkilāt usī raah meñ na aanī thiiñ
maiñ jo bhī rāsta chuntā usī meñ roḌā thā
bikhar ga.e the mire gird dard ke sikke
tumhārī yaad kī gullak ko raat toḌā thā
junun mein ret ko yun hi nahin nichoDa tha
kisi ki pyas ziyaada thi pani thoDa tha
phir us ke baad to aankhon se nind ghaeb thi
kisi KHayal ne ehsas ko jhinjhoDa tha
tamam umr bhaTakte rahe the wahshat mein
bas ek martaba hum ne hisar toDa tha
wajud rakhna tha apni shanaKHt kho kar bhi
nadi ne KHud ko samundar ki samt moDa tha
ye mushkilat usi rah mein na aani thin
main jo bhi rasta chunta usi mein roDa tha
bikhar gae the mere gird dard ke sikke
tumhaari yaad ki gullak ko raat toDa tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.