junun-o-‘ishq ke raste bahaal karti hai
junūn-o-‘ishq ke raste bahāl kartī hai
kabhī kabhī to mohabbat kamāl kartī hai
ab aur bojh uThāne kā hausla to nahīñ
thake badan meñ zarūrat dhamāl kartī hai
zarā qarīb se dekho to ro paḌoge tum
jo muflisī yahāñ logoñ kā haal kartī hai
'adū se māñgtā kyoñ hai tū peT kā īñdhan
ġharīb qaum kī ġhairat savāl kartī hai
ye saada qaum bhī bholī hai 'shāhdil' kitnī
ki rāhzan ko bhī rahbar ḳhayāl kartī hai
junun-o-‘ishq ke raste bahaal karti hai
kabhi kabhi to mohabbat kamal karti hai
ab aur bojh uThane ka hausla to nahin
thake badan mein zarurat dhamal karti hai
zara qarib se dekho to ro paDoge tum
jo muflisi yahan logon ka haal karti hai
'adu se mangta kyon hai tu peT ka indhan
gharib qaum ki ghairat sawal karti hai
ye sada qaum bhi bholi hai 'shahdil' kitni
ki rahzan ko bhi rahbar KHayal karti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.