junun se kasb jo kar li hai be-KHudi maine
junun se kasb jo kar li hai be-KHudi maine
Mohammad Taibur Rahman Inamdar Talib
MORE BYMohammad Taibur Rahman Inamdar Talib
junūñ se kasb jo kar lī hai be-ḳhudī maiñ ne
ġham-e-firāq ko baḳhshī hai zindagī maiñ ne
na duur mere tasavvur se jā mire hamdam
tire ḳhayāl ko samjhā hai bandagī maiñ ne
nahīñ ye sheva-e-ulfat ki husn ho rusvā
pasand tere liye kī hai ḳhāmushī maiñ ne
nahīñ hai ḳhauf mujhe tīrgī kā rāhoñ kī
ki zulmatoñ meñ bhī kar lī hai raushnī maiñ ne
chhupā rahā thā magar sādgī mirī 'tālib'
pate kī baat bhī kah dī hañsī hañsī maiñ ne
junun se kasb jo kar li hai be-KHudi main ne
gham-e-firaq ko baKHshi hai zindagi main ne
na dur mere tasawwur se ja mere hamdam
tere KHayal ko samjha hai bandagi main ne
nahin ye shewa-e-ulfat ki husn ho ruswa
pasand tere liye ki hai KHamushi main ne
nahin hai KHauf mujhe tirgi ka rahon ki
ki zulmaton mein bhi kar li hai raushni main ne
chhupa raha tha magar sadgi meri 'talib'
pate ki baat bhi kah di hansi hansi main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.