junun se zikr se hasrat se aur ibaadat se
junūñ se zikr se hasrat se aur ibādat se
ab is ke baad tujhe chāheñge mohabbat se
vo shai bhī ḳhaak huī jo falak se utrī thī
bachā hai kaun yahāñ par nizām-e-qudrat se
tire ishāre pe lāzim nahīñ thā mar jaanā
magar miTe haiñ tirī chāhatoñ meñ shiddat se
tamām raat guzārī hai māh-o-anjum meñ
ai sub.h mujh se zarā pesh aa mohabbat se
barasne aa.egā bin-barse lauT jā.egā
ye abr baaz na aa.egā apnī aadat se
is intizār meñ gar jaañ ga.ī to mumkin hai
mile savāb hameñ ājizī kī nisbat se
banāne vaale ne bas naqsh hī banā.e the
ye rang nikle haiñ 'mīrā' tumhārī hairat se
junun se zikr se hasrat se aur ibaadat se
ab is ke baad tujhe chahenge mohabbat se
wo shai bhi KHak hui jo falak se utri thi
bacha hai kaun yahan par nizam-e-qudrat se
tere ishaare pe lazim nahin tha mar jaana
magar miTe hain teri chahaton mein shiddat se
tamam raat guzari hai mah-o-anjum mein
ai subh mujh se zara pesh aa mohabbat se
barasne aaega bin-barse lauT jaega
ye abr baz na aaega apni aadat se
is intizar mein gar jaan gai to mumkin hai
mile sawab hamein aajizi ki nisbat se
banane wale ne bas naqsh hi banae the
ye rang nikle hain 'mira' tumhaari hairat se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.